Thursday, March 30, 2017

Youtube me subscribe ka button kaise lagaye


namaskar dosto, humare blog aaiye sikhe me aapka ek bar fir se swagat hai. Jaisa ki aap jante hi hai ki mai humesha aapke kaam ki post lata hu, iss bar v humne aapke bahut kaamki post layi hai.
dosto bahut se log youtube pe apna channel to bana lete hai, or video bhi post kar dete hai. Or wo apne youtube videos ki link ko social sites par share bhi karte hai, jisse unki views bhi badhti hai. Lekin subscriber nahi badhte unki channel pe. Jiski wajah se jab wo new video post karte hai to fir se unhe video k link ko social sites par share kiye bina views nahi milte. Dosto actually hota kya hai ki hum jo video post karte hai youtube pe. Viewers use dekhte to hai, lekin channel subscribe karne ke liye channel pe nahi jate.  agar unhe video me hi subscribe ka option mil jaye to wo humare channel ko subscribe kar dete hai. To aaj mai aapko yahi batane wala hu ki youtube ki videos me subscribe ka button kaise lagaye, jo ki humari youtube ki sabh videos me dikhe. Or log humare channel ko subscribe kare. Dosto agar subscribers badhenge to viewers bhi badhenge, or viewers badhenge to traffic jyada hogi jiss humara youtube channel famous hoga, or humari income bhi badhegi.
Ab mai aapko wo method bata raha hu, jisko follow karke aap apne youtube channel ki videos me subscribe button add kar sakte hai.
sabse pehle to aap google me "free youtube subscribe image" likhkar search kare, fir jo image achha lage use download kar le. Ab aap youtube me login kare or follow kare: 👇

1.- my channel pe click kare.
2.- video manager pe click kare.
3.- channel pe click kare.
4.- branding pe click kare.
5.- open pe click karke image upload kare.

uske baad "display theme" hoga right side uske samne jo box bana hai. Usme 3 option dikhega.
i)-End of video
ii)-Custom start time
iii)-Entire video

agar aap sirf apne video ke ending me subscribe ka button dikhana chahte hai to "End of video" select kare or save kar de. Agar aap sirf apne video ke starting me subscribe ka button dikhana chahte hai, to "Custom start time" ko select kare or save kar de. Or agar aap chahte hai ki aapki youtub ki video me starting se end tak subscribe ka button show ho to uske liye aap "Entire video" select kare or save kar de. Ab aapki video me subscribe ka button add ho chuka hai, aap chahe to apne youtube vdeo ko play karke check kar sakte hai. Dosto agar fir bhi aapko kisi tarah ki padeshani ka samna karna pade to aap niche comment box me jarur comment kar, mai aapki samasya ka samadhan karunga.
aasha hai dost ko aapko humara ye post jarur pasand aya hoga, to der kis baat ki hai dosto, bina der kiye humare blog ko subscribe kare taki hum aage se jo bhi usefull post kare wo sidhe aap tak pahuch sake. Humara post padhne ke liye dhanyawad dosto.

Wednesday, March 29, 2017

Graphic Intro video kaise banaye



Hello Friends mai Ravi Aapka apne blog me fir se swagat karta hu. youtube ek top video sharing free website hai. Aur youtube se aap money bhi earn kar sakte hai. Kai log iss platform pe khud ki channel create karke video upload karke lakho rupees kama rahe hai. Aap bhi kama sakte hai. Iske bare me mai aapko next post me bataunga ki youtube se paise kaise kamate hai. Abhi mai aapko graphic intro video ke bare me bata raha hu. Iski madad se aap apne youtube video ke staring me khud ke channel ka add de sakte hai. Iske bina aapka youtube adhura lagega. Isko lagane ke baad aapke viewers ko pata chalega ki aapke viseo me kya hai, or aapka video aakarshak lagega.
 Step-1 : Sabse pahle aap flixpress.com pe click kare. Aap direct niche diye iss link pe click kar sakte hai 👉 https://flixpress.com/Home.aspx
 Step-2 : iske baap aap flixpress me sign up kar lijiye. Fir email id kholiye, or flixpress wale tab ko delete kar dijiye. Or email id me jo flixpress ka mail aaya hoga. Uspe click karke verify kar lijiye. Ab aap flixpress me apna graphic intro video create kar sakte hai. 2 minute tak ka aap free me kar sakte hai. Isse jyada ke liye paise dene honge. Ab aapko bata de ki aap flixpress me graphic intro video kaise banaye.
 Step-3 : Ab aapke samne 3 plan show honge. Aap free plan pe click kar lijiye.
 Step-4 : Free plan choose karne ke baad next window me aapko free plan ke niche SIGN UP pe click kare.

 step 4 : Ab selection ko confirm karne ke liye THATS RIGHT NEXT pe click kare. Ab aap flixpress ko free me use kar sakte hai. Aap yha 2 minute tak ka free me graphic intro video create kar sakte hai.
 Step-5 : Free me graphic intro video banane ke liye START CREATING YOUR VIDEO pe click kare.
 Step-6 : Next window me videos show honge. Mouse curser video pe hold karke check kar sakte hai ki video kaisa banega. Ab jo pasand ho use banane ke liye CUSTOMIZE NOW pe click kare.
 Step-7 : Ab image upload ka option aayega, aap uspe click karke image add kar le jo image aapko video me dalna hai. Ab ek new window open hogi. Ab aapki image upload ho chuki hai. Ab NEXT button pe click kare.
 Step 8 : Next popup windows me video customze karna hai. Iske liye niche diye steps follow kare.
 i). Intro text me apne channel/brand ka name enter kare.
 ii). Channel/brand ka subtitle enter kare.
 iii). Ab video ke liye pixels select kare, 720p best hai.
 iii). Preview pe click karke apne intro video ka preview check kar le.
 iv). Place order button pe click kare.
 v). Ab ek aur popup window open hoga, usme VIEW MY ORDER pe click kare.
 Step-9 : Ab aapka Graphic intro video ready ho chuka hai. Ab video thumbnail me MORE OPTION pe click kare.
 Steps-10 : Ab DOWNLOAD HD pe click kare. Iske baad aapka graphic intro video download hona start ho jayega. Download hone ke baad aap apne channel ke introduction ke liye apne channel me video add kar sakte hai. Agar aapko koi bhi problem aaye to aap comment kar sakte hai. Mai aapki problem ka solution comment kar dunga. Agar aapko mera ye post pasand aaye to please niche diye subscribe button pe click karke humare blog ko subscribe kar de, taki aage se hum jo bhi usefull post kare, wo aap tak aasani se pahuch sake.dhanyawad.

you also see this usefull video

 https://www.youtube.com/edit?o=U&video_id=ruwrXadCo98

Monday, March 27, 2017

Secure facebook kaise banaye


Namaskar dosto, ek bar fir se aaiye sikhe me aapka swagat hai. Aaj mai aapke liye facebook se related post laya hu. Dosto duniya me jitne bhi social networking sites hai, facebook un sabka badshah hai. Kyuki sabse jyad use ki jane wali social networking facebook hi hai.

1. Kuchh log rishtedar se connect rehne ke liye facebook use karte hai.
2. kuchh log dosto se connect rehne ke liye facebook use karte hai.
3. kuchh log new friends banane ke liye facebook use karte hai.
4. kuchh log timepass karne ke liye facebook use karte hai.
5. kuchh log famous hone ke liye facebook use karte hai.
6. kuchh log paise kamane ke liye facebook use karte hai.
7. kuchh log apne business ko promote karne ke liye facebook use karte hai.

kabhi kabhi achanak se humara facebook band ho jata hai humesha ke liye, tab hume bhut dukh hota hai. Magar aisa na ho, isliye mai ye post laya hu aapke liye.
dosto sabse pehli baat to ye ki hume mobile number se facebook create nahi karni chahiye, kyuki aisa karne se jis din wo mobile number band ho jayegi to facebook kavi bhi band ho sakta hai. Dosto secure facebook banane ke liye hume humesha gmail/yahoo ki email use karni chahiye. Or password me humesha alphabet +digits+special character use karna chahiye taki password strong ho.
1. Uske baad account setting me jaye or "general" me jaye fir jo mobile number on rahe wo usme enter kare, dhyan rahe ki wo number kabhi band na ho, or agar band ho to new number enter kar de.

2. Fir "privacy" me jaye or follow kare ye steps 👇
who can see your future posts? - friends
who can see the people? pages and listed to follow - friends.
who can send you friend request? - friends of friends.
who can look you up using the email address you provided? - friends.
who can look you up using the phone number you provided? - friends.
do you want search engines outside or facebook to link to your profile? - no.

3. Ab "timeline & tagging" pe jaye or ye steps follow kare 👇
who can post on your timeline? - friends.
review posts that friend tag you in before they appear on your timeline? - on
who can see posts you've been tagged in your timeline? - friends.
who can see what others post on your timeline? - friends.
when you are tagged in a post who do you want to add to the audience if they aren't already in it? - friends.
who see tag suggetions when phot that look like you are uploaded? - friends.

4. Notifican me jakr sab on kar de.

5. Text nasseging on kar le

6. "public post" me jaye or follow kare 👇

who can follow me? - friends.
public post comment - friends.
public profile info - friends.

bas iske baad aapka facebook secure ho jayega 100%. Agar aapko humara ye post pasand aaya ho to please niche diye subscribe ke button pe click karke subscribe jarur kar de, taki isi tarah ki agli usefull post aap tak asani se pahuch sake.







Email id kyu jaruri hai



Namaskar Dosto ek bar fir se aaiye sikhe me aapka swagat hai. aaj mai aapko batane wala hu ki Email id kyu jaruri hai. dosto email id service provider company ke naam hai.

1. Google.
2. Yahoo.
3. Hotmail.

dosto yahoo se aap facebook id create kar sakte hai. Jabki hotmail se sirf mail mangwa sakte hai.Dosto email id me bhi gmail ka sabse jyada use hai. Or gmail google ki product hai. Dosto ab mai aapko batata hu ki gmail id ke kya kya faide hai.
1. Aap iski help se secure facebook id bana sakte hai.
2. Aap apne mobile ki contacts save or backup kar sakte hai.
3. Aap apne mobile/laptop/pc ki pics save backup ksr sakte hai.
4. Aap apne mobile ko hi backup kar sakte hai format hone ke baad.
5. Aap apne whatsapp chat backup kar sakte hai.
6. Kafi aisi social sites hai jo directs google se connect hoti hai.
7. Aap apna mobile bhi google ki help se tress kar sakte hai.
8. Agar aap youtube ke shokeen hai, to youtube bhi gmail se hi connect hoti hai.
9. Agar aap blog likhkar paise earn karna chahte hai free me to bhi gmail important hai.
10. Agar aap apni free website banana chahte hai to bhi gmail id aawasyak hai.

aapko humari post kaisi lagi, niche comment me jarur bataiyega, or koi sawal puchhna ho to jarur puchhe mai answer dene ki puri kosis karunga.
or agar aapko humari post pasand aayi ho to niche subscribe ke button pe click karke subscribe jarur kare, taki hum aage se jo v usefull post kare wo direct aapke pass saralta se pahuch sake.
post padhne ke liye dhanyawad dosto.

Mobile contacts ko secure kaise banaye


Hello friends humare blog "aaiye sikhe" me aapka swagat hai. Ek bar fir se mai aapke liye bhut aawqsyak post laya hu. Dosto aap apne mobile me jitne bhi contacts save karte hai, wo ya to aap phone memory me karte hai ya fir sim card me. Agar sim card kahi kho jaye, ya kharab ho jaye, ya mobile kharab ho jaye ya chori ho jaye to hum uwme save contact ke liye bahut padeshan hote hai. Kyuki wo kuchh contacts humare liye bahut important hote hai, aur sabhi contacts har koi yad nwhi rakh sakta, isse bachne ke liye kuchh log index me contacts save karte hai. But index hum sath lekar nahi ghum sakte humesha. Isiliye in sabhi paresaniyo se bachne ke liye mai apko ek aisi triks batane ja raha hu, jisko apply karke aap apne mobile contacts ko khone ke tention se bach sakte hai.

sabse pehle aap apne android/windows mobile me contacts tab open kare. Fir setting ke icon pe click kare, usme login ka option dikhega, gmail se login kar le. Or contacts save karne ke liye option hota hai, phone memory/sim card/gmail aap gmail pe click kar de. Ab aap jitne bhi contacts save karenge apne mobile me wo aapke gmail me save ho jayega, bas dhyan rakhe ki mobile ka data on rehna chahiye. Fir jab v aapko kisi bhi mobile me pehle se save kiye hue contacts ki jarurat ho to contacts tab pe jaye or setting me jakar gmail login kar le, or sync kar le, sabhi contacts automatic aa jayenge.

Friday, March 24, 2017

gmail account kaise banaye



Sabse pehle apne browser me jakr google pe "gmail create" likhkar search kare. Fir create account pe click kare.


1. Jis naam se banana chahte hai wo naam likhe.
2. Choose your user name me Apna naam likhkar search kare, jo pasand aaye wo select kar le.
3. Password dale, alphabet, special character or number.
4. Same password dale.
5. Date of bith dale.
6. Gender select kare.
7. Apna mobile number dale.
8. Your current email address me Backup ke liye koi email hai to dale.
9. Loketion me apne country ko select kare.
10. Continue pe click kar de.

ab ek new pop up window open hogi. Sabse niche jo blue circle bana hai uspe click kar de.

 Uske baad new pop up window open hogi I AGREE pe click kare.

 New pop up wnidow open hogi. Isme aapki email address dikh rahi hogi. Niche likhe CONTINUE pe click kare.

Ab massage box ka jo icon bana hai uspe click kare.

 Aapki gmail account ban chuki hai, ab aapke pas gmail ki taraf se welcome email aaya hoga. Aap chahe to apne gmail me Apni photo laga sakte hai. dosto agar aapko humara ye post pasand aaya ho to like share jarur kare, aur haan dosto agar abhi tak aapne humare blog ki news letter nahi li hai to please jaldi se apne gmail id se humare blog ki news letter pe submit kare, taki hum aage se jo bhi usefull post kare uski notification aapke email me pahuch jaye aur aap humare blog ki usefull post padhkar laabh utha sakenge. post padhne ke liye dhanyawad dosto.

Ads Inside Post

Disqus Shortname

Comments system