hello friends mai ravi prakash eb bar fir se apne blog "aaiye sikhe" me aapka swagat karta hu. Dosto aaj mai aapko bahut hi intresting aur important topic pe batane wala hu. Dosto kuchh log internet pe youtube or blog ke jariye paisa kamana chahte hai. Dosto maze ki baat ye hai ki aapne youtube or blog pe apna account to bana liya or post bhi kar diya. Or aapko views bhi milne lage. Magar dosto sirf isse aapko ek paisa bhi nahi milega. Ab aap socj rahe honge ki youtube or blog se paise kaise kamaye jaye?
to fikar karne ki jarurat nahi hai dosto kyuki aaj mai aapko isi topic pe batane ja raha hu. Dosto agar aap youtubers hai to aap apne youtube me jitne bhi videos post karte hai. Usko monetize karna bahut jaruri hai, kyuki iske bina aapko ek bhi paise nahi milenge. Dosto maan lijiye aapne apne youtube pe koi video post kiya aur uss video pe 500 views ho gaye. Fir bhi aapko uske paise nahi milenge kyuki paise views ke nahi milte hai. Sabse pehle mai aapko clear kar du ki youtube pe paise kaise kamaye jate hai. Dosto hum jo bhi video post karte hai youtube pe. Hume usko monetize karna hota hai, kyuki monetize karne ke baad videos pe google ki taraf se ADS chalate jate hai. Aur uske baad jo uss video ko dekhta hai. Wo video ke sath sath uss ADS ko bhi dekhta hai. Usi ke paise youtube hume pay karta hai. Yaha ek baat or clear kar du dosto ki ads dekhne ke kam paise milte hai aur ads pe click karne ke jyada paise milte hai. Isiliye hume youtube pe video ko post karte hi monetize kar dena chahiye.
dosto monetize karne ke liye sabse pehle hume Google Adsense account create karna padta hai. Google Adsense kaise banaye ye mai aapko batane ja raha hu, aap mere bataye tarike ko follow karke google adsense me apna account bana le.
1. Youtube me my channel pe click kare.
2. Video manager pe click kare.
3. Channel pe click kare.
4. Monetization pe click kare.
5. Set up Adsense pe click kare.
6. Next pe click kare.
7. Sign in kare ya new create bhi kar sakte hai.
8. Save and continue pe click kare.
9. Apna name fill kare.
10. Address and baki ke detail fill kare.
ab save kar de. Or is tab ko close kar de.
ab aap new tab kholkar apna gmail account login kare or check kare usme ek email aaya hoga adsense ki taraf se. Ab aap 24 hour wait kare aapka adsense approved ho jayega. Uske baad aap apne channel ke videos ko monetize kare. Aur kam se kam 10 dollor income hone tak ka wait kare. Aur aap apna income adsense me check kar sakte hai every week.
asha hai aapko humara ye post pasand aaya hoga. Agar aapne humara news letter nahi liya hai to der na kare kare dosto turant right side me news letter ko apne email se submit kar de,
or uske baad apne email ko open karke humare news letter ki membership ko verify kar de. Kyuki dosto aage mai iske aage ki intresting topic post karunga jo aapke bahut kaam aayegi. Kyuki uske bina aapki youtube ki income aapke bank account me nahi jayegi. Post padhne ke liye dhanyawad dosto. Aga aapke man me kisi bhi tarah ka sawal ho to niche comment box me jarur comment kare. Mai aapke har sawal ka jawab dene ki puri kosis karunga.
Article by - Ravi Prakash.