Hello Friends mai Ravi Aapka apne blog me fir se swagat karta hu. youtube ek top video sharing free website hai. Aur youtube se aap money bhi earn kar sakte hai. Kai log iss platform pe khud ki channel create karke video upload karke lakho rupees kama rahe hai. Aap bhi kama sakte hai. Iske bare me mai aapko next post me bataunga ki youtube se paise kaise kamate hai. Abhi mai aapko graphic intro video ke bare me bata raha hu. Iski madad se aap apne youtube video ke staring me khud ke channel ka add de sakte hai. Iske bina aapka youtube adhura lagega. Isko lagane ke baad aapke viewers ko pata chalega ki aapke viseo me kya hai, or aapka video aakarshak lagega.
Step-1 : Sabse pahle aap flixpress.com pe click kare. Aap direct niche diye iss link pe click kar sakte hai 👉 https://flixpress.com/Home.aspx
Step-2 : iske baap aap flixpress me sign up kar lijiye. Fir email id kholiye, or flixpress wale tab ko delete kar dijiye. Or email id me jo flixpress ka mail aaya hoga. Uspe click karke verify kar lijiye. Ab aap flixpress me apna graphic intro video create kar sakte hai. 2 minute tak ka aap free me kar sakte hai. Isse jyada ke liye paise dene honge. Ab aapko bata de ki aap flixpress me graphic intro video kaise banaye.
Step-3 : Ab aapke samne 3 plan show honge. Aap free plan pe click kar lijiye.
Step-4 : Free plan choose karne ke baad next window me aapko free plan ke niche SIGN UP pe click kare.
step 4 : Ab selection ko confirm karne ke liye THATS RIGHT NEXT pe click kare. Ab aap flixpress ko free me use kar sakte hai. Aap yha 2 minute tak ka free me graphic intro video create kar sakte hai.
Step-5 : Free me graphic intro video banane ke liye START CREATING YOUR VIDEO pe click kare.
Step-6 : Next window me videos show honge. Mouse curser video pe hold karke check kar sakte hai ki video kaisa banega. Ab jo pasand ho use banane ke liye CUSTOMIZE NOW pe click kare.
Step-7 : Ab image upload ka option aayega, aap uspe click karke image add kar le jo image aapko video me dalna hai. Ab ek new window open hogi. Ab aapki image upload ho chuki hai. Ab NEXT button pe click kare.
Step 8 : Next popup windows me video customze karna hai. Iske liye niche diye steps follow kare.
i). Intro text me apne channel/brand ka name enter kare.
ii). Channel/brand ka subtitle enter kare.
iii). Ab video ke liye pixels select kare, 720p best hai.
iii). Preview pe click karke apne intro video ka preview check kar le.
iv). Place order button pe click kare.
v). Ab ek aur popup window open hoga, usme VIEW MY ORDER pe click kare.
Step-9 : Ab aapka Graphic intro video ready ho chuka hai. Ab video thumbnail me MORE OPTION pe click kare.
Steps-10 : Ab DOWNLOAD HD pe click kare. Iske baad aapka graphic intro video download hona start ho jayega. Download hone ke baad aap apne channel ke introduction ke liye apne channel me video add kar sakte hai. Agar aapko koi bhi problem aaye to aap comment kar sakte hai. Mai aapki problem ka solution comment kar dunga. Agar aapko mera ye post pasand aaye to please niche diye subscribe button pe click karke humare blog ko subscribe kar de, taki aage se hum jo bhi usefull post kare, wo aap tak aasani se pahuch sake.dhanyawad.
you also see this usefull video
https://www.youtube.com/edit?o=U&video_id=ruwrXadCo98