Namaskar dosto "aaiye sikhe" me aapka swagat hai. Dosto aaj duniya me mostly log internet use karte hai. Aur internet ke pichhe paise kharch karte hai. Aise me kuchh log sochte hai kash, internet se unke mobile ka kharch nikal jata.
or kuchh log sochte hai ki internet se paisa kaise kamaye? Aur browser me search karte hai "internet se paise kaise kamaye/how to make money from internet" aur uske baad unke samne itne saare tarike show hote hai ki wo confuse ho jate hai, aur kuchh spammer ke changul me fas jate hai.
to dosto mai aaj isi topic pe batane wala hu, taki aap sab ko koi pareshani na ho. Aur aap meri post padhkar iska labh utha sake wo bhi bilkul muft.
dosto internet se paise kamane ke bahut se tarike hai, lekin aaj mai aapko youtube ke bare me bata raha hu. Dosto youtube google ki product hai. Youtube pe aap video upload karke achhi income kar sakte hai wo bhi ghar baithe without any investment kiye. Dosto kuchh log to sirf popular hone ke liye youtube use karte hai. Magar aap chahe to youtube se paise bhi earn kar sakte hai.
to aaiye dosto ab mai aapko batata hu ki youtube pe khud ka channel kaise banate hai. Dosto youtube pe channel create karne ke liye gmail id hona bahut jaruri hai, gmail ke bina youtube ki kalpana bhi nahi kar sakte. Kyuki youtube gmail se connect hota hai. Isiliye dosto agar aapke pas khud ki gmail id nahi hai to pehle gmail id create kar le. Aap chahe to yaha se gmail create kar sakte hai 👇
ab aap browser me "youtube" likh kar search kare fir youtube pe click kare.
Ab sign in ka option dikh raha hoga aapko right side me. Use aap gmail se sign in kare.
1- Ab creater studio pe click kare
2- Create Channel pe click kare. jis naam se channel banana ho wo naam likhkar channel create kare.
3- Channel pe click kare.
4- Verify pe click kare.
5- Country select kare Aur Apne Mobile number se verify kare.
Ab aapka youtube channel ban chuka hai. ab aap video uplaod kare. aur apne channelko popular banaye. aur chahe to video ko monetize karke paise bhi earn kar sakte hai, iske baare me mai next post me batauga. agar aapko humari post pasand aayi ho to like share jarur kare, aur agar aapne avi tak humare blog ko subscribe nahi kiya hai to please subscribe jarur kare.